Paytm Wallet Mein Paise Kaise Dale - Puri Jankari


Namaskar dosto, humne last article me main bataya tha ki ''Paytm Kya Hai Aur Paytm Account Kaise Banate Hain'', ab main aapko batane ja raha hu ki aap paytm wallet me balance kaise add kar sakte hain.

Paytm par id banane ke baad mobile recharge ya fir paytm ki kisi bhi suvidha ko use karne ke liye paytm me paise hona jaruri hai, aise me jo nahi janta uske liye ye baat jan na bahut jaruri ho jata hai ki paytm wallet me paise kaise dale.

Dosto jaisa ki maine pichli post me bataya tha ki paytm use karne ke liye aapke paas debit/credit card hona chahiye, iske alawa agar aap net banking use karte hai toh uske jariye bhi aap paytm wallet me paise jama kar sakte hai.

Paytm Wallet Mein Paise Kaise Add Kare Dale ?

Step 01 ➩ Paytm app open kare aur ''Add Money'' ke option par click kare.


Step 02 ➩ Ab jitna amount aap add karna chahte hai woh enter kar ke niche ''Add Money'' button par click kare.


Step 03 ➩ Uske baad aap kis tarike se payment karna chahte hai jaise ki debit card, credit card aur net banking woh select kare.


Step 04 ➩ Main yaha debit card ke jariye paise add karna bata raha hun, isliye debit card select karne ke baad Card Number, Expiry Date aur CVV Code jo card ke piche hota hai 3 digit ka, woh enter kar ke ''Pay Now'' par click kare.



Step 05 ➩ Next step me aapko apne debit card ke ''PIN'' enter karne honge aur aapke mobile number par ''OTP'' Code aayega woh enter karna hoga.

Iss tarah aap aasani se paytm wallet me cash add karke paytm ki multiple services ka fayda utha sakte hai aur online payment karke apni life ko easy bana sakte hai. Agar isse juda koi sawal ho toh neeche comment box me jarur likhe. Hume aapke ache comments ka intezar rahega. Thank you.

No comments:

Powered by Blogger.